Saiyedna Ali bin Saiyedi Ibraaheem (QR)
 
 
 

Taaj ul-‘Aarefeen, Ziyaa ul-Mohseneen
29th Da'i ullahil Akram, Shaheed-e-Aa'zam
ni Shaan ma

 

Qaseedah-e-Taaherah

   
Roza hai Ahmedabad me Saiyedna Ali ka.
Jaari hai faiz aaj bhi Saiyedna Ali ka.
 
 

Roza ka kyun na inke farishte kare adab, Marna Ali ki shaan ka Saiyedna Ali ka.

   
Mehfil me inki sift-o-sanaa kyun na ho bayaa, Urs aayaa dekho lautke Saiyedna Ali ka.
 
   
 

Haajat ko puri kar diya, gham ko mita diya, Khaali sawaali jaaye na Saiyedna Ali ka.

   

Sar par mere balaao ka naam-o-nashaa nahi, Mai ne jo naam le liya Saiyedna Ali ka.

 
   
 

Maidaan-e-hashr me ho shafaa'at ka woh haqqdaar,
Daaman ho jiske haath me Saiyedna Ali ka.

   
Maula Ziyauddin ki ho umr tool ae Kareem,
Masnad hai Alavi, da'i hai Saiyedna Ali ka.
 
 
 
 
Copyright © 2007 Alavibohra.org.  All rights reserved.