"Agar farmaan-e-daa'i-e-hodaa choota to sab choota; Waseela aapkaa waqt-e-du'aa choota to sab choota,
Agar che Hur ho, ghilmaan ho ke kausar ho ke jannat ho; Samajh lenaa ke daaman aapkaa choota to sab choota,
Tasawwur mujhko lekar jaa raha hai khud madine me; Agar manzil kaa ye qiblaa numaa choota to sab choota,
Wali choota, 'Ali choota, Rasool-e-kibriyaa choota; Agar inki mohabbat kaa silaa choota to sab choota,
Hifaazat se rakho tasweer dil me apne da'ee ki; Tumhaare haath se ye aa'inaa choota to sab choota,
Isii baa'is to qadmon se judaa honaa nahi mumkin; Samajhtaa hoo ke daaman aapkaa choota to sab choota."