SAIYEDNA ALI (QR)
 
 
  click here to download
  Bait-e-Muneer
 

Dar par aakar tere basad ta’zeem,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

Rozo shab karte hai malak tasleem,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Deen-e-Taiyeb ko di ziyaa tune,
Haqq-o-Baatil juda kiya tune,

Raah-e-Jannat dikha diya tune,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Gulshan-e-Deen ke gul-e-tar ho,
Behr-e-Da’wat ke Aap gauhar ho,

Alavi mumino ke sarwar ho,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Naa’ib-e-‘Itrat-e-Nabi ho tum,
Be shak Allah ke wali ho tum,

Daa’iy-e-Deen-e-Taiyebi ho tum,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Tumsa rehbar na khalq me aata,
Kaun phir raah sabko dikhlaata,

Haqq-o-Baatil ko kaun samjhaata,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Ahmedabad shaher ke darmiyaan,
Roza hai Aapka ba-hashmat-o-shaan,

Hai khijil jis se rauza-e-rizwaan,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Aapke dar se ay shah-e-waali,
Koi saa’il phira nahi khaali,

Maangi jo kuch muraad de daali,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Mushkil hal kar do jiski chaaho tum,
Dard-e-ummeed ki dawa ho tum,

Kyunki hum naam-e-Murtaza ho tum,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Aah kaise the woh ‘adoo bad zaat,
Huwe gumraah chhod raah-e-najaat,

Maara be jurm Aapko hayhaat,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Hai jo naa’ib tumhaare khalq me aaj,
Shah-e-Taiyeb Ziya deen ki laaj,

Mulk-e-Da’wat me aaj jiska hai raaj,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Hai Khuda se bhi ye Du’aa-o-Muraad,
Rakhe khush haqq use ma’a awlaad,

Ya Mohammad wa aalehil amjaad,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

   
Mumino ke bhi haqq me hai har baar,
Taiyebi ki du’a hai lail-o-nahaar,

Waqena rabbana ‘azaaban naar,
Ya Saiyedna ‘Ali shaheed kareem.

 

 
   
Copyright © 2007 Alavibohra.org.  All rights reserved.